Healing a family member
from terminal illness

RITUAL FOR HEALING A FAMILY MEMBER WHO IS SUFFERING FROM a terminal ILLNESS.

Samagri (Materials):

1. Ek nariyal (Coconut)

2. Kalawa (Holy Thread)

3. Ghamla (Pot)

 4. Agarbatti (Incense Sticks)

 5. Gangajal (Holy Water)

6. Ghee (Clarified Butter)

7. Doodh (Milk)

Steps:

1. Sabse pehle, ek nariyal lena hai aur use kalawe se 7 bar bandhna hai. Har bar ek ghaat (knot) bandhna hai, jisse total 7 ghaat (knots) ho.
2. Us nariyal ko fir 7 bar us family member par se ghoomna hai, 7 bar clockwise aur 7 bar anticlockwise.
3. Ab uss nariyal ko ek ghamle ya pot mein daal dena hai, jaise koi paudha laga diya ho.
4. Daily Rituals practice mai subah aur shaam ko pooja ke waqt, us pot par do agarbatti jala ke lagana hai.
5. Usi samay, din mai do baar, ek glass pani mein kuch kuch boond gangajal milake us pot mai daal dena hai. Is prayasna ke dauraan aap Pray karengay ki Karim Bhia ki Dhanvantri, Ashvins, aur Shrushut Bhagwan ki siddhiya humare (Rogi ka naam aur rishta) ki saari bimari, dard, aur taklif ko iss sthan mai bhej de aur unko Heal Kare.
6. Iske baad, jo bhi mantra ka aap roz jaap karte hai uski 3 mala Dhanvantri, Ashvins, aur Shrushut Bhagwan ke naam pe jaap samarpit karein.
7. Agar kisi karanvarsh kisi din aap bhool jaate hain ya kisi kaam mein vyasth rehte hain, to pehle shama maang lein, aur phir us din kisi dusre samay ya tareek par us prayasna ko pura karein.
8. Amavasya aur poornima ke din, ek chhota cup doodh mein ek chammach gangajal aur ek chammach ghee milake us paudhe mai daal de.
9. Iske alawa, kisi bhi samay, kisi bhi taklif ke samay, aap mujhse sampark kar sakte hain.

Yeh prayasna ek aisa vidhi hai jisme aapke parivar ke sadasyon ke dukh-dard ko ek naye sthan (paudha) mai transfer karte hain, jahan Dhanvantri, Ashvins, aur Shrushut Bhagwan ki siddhiya unki Healing mai madad karti hain. Is prayasna ke dauran agar aapko alag-alag roop, aur vibhinn devtaon ki ladai jaisa kuch dikhe, to darne ki koi zarurat nahi. Yeh aapka khud ka prayasna hai aur aap apne vidhi ko samajh rahe hain.

A Step Towards making your life Spiritual

© 2024 developed by SACGRO

Navigation

FAQ

Get In Touch